Virgo Ka Bhavishya!!

Janiye kaisa rahega aapka future

2025-04-18

Virgo, aaj tumhare andar ka perfectionist mode full power pe hai! Matlab, ek bhi galti tolerate nahi karoge—jaise jab kisi ki WhatsApp typo dekh ke tumhara BP badh jaye! Health wise bhi thoda alert rehna, kyunki thoda low energy feel ho sakti hai. Apna hydration check, meal check, aur relaxation check zaroor kar lena. Financial expenses pe bhi thoda dhyan do, unnecessary splurge mat karo. 5 PM - 7 PM ka time lucky hai, toh tab thoda mindful decisions lo. Pale green pehno, taaki chill aur balanced feel karo!

2025-04-13 - 2025-04-19

Virgos, iss hafta aap full “lowkey mode” mein hone waale ho, ghar aur office mein sabko lagega ke aap doom-scrolling kar rahe ho. But, reality mein aap secretly life ka SWOT analysis karoge. Emotional sponge ban jaoge, sab kuch absorb karoge par bologe kuch nahi. Har conversation mein ek “hmm” se kaam chal jaayega. Office mein “cold war” wali vibes ho sakti hain, colleague ka passive-aggressive comment, ya boss ka cryptic feedback, sab samajh aa raha hoga, par aap silent button dabake rakho. Unnecessary debates mein mat ghuso, warna mood off ho jayega. Personal life mein bhi thoda cautious rehna padega. Married ho toh in-laws se baat karte waqt filter on rakhna zaroori hai, warna ek choti si line se full-blown family drama ho sakta hai. Totka: Lemon ya pudine wala paani subah peeyo, pet aur dimaag dono refresh ho jaayenge.

2025-04-18

Virgos, April 2025 mein aap impulsive rahoge, iska effect aapki health pe dikhega. Toh momos, gol guppe jaisi cravings ki jaal mein phasoge toh pachtaaoge. April mein aap financial planning ke king banoge, 100-200 rupees ki savings ko mindfully invest karoge. Aapki planning dekh ke mummy papa ko lagega " Iss gareeb ko lag raha hai ke yeh ameer ho chuka hai". But unki baaton se feelings ko hurt mat hone dena. Papa se favouritism ke topic pe saalon se ladaai ho rahi hai, toh iss mahine case close hoga aur Judge (Papa) ka faisla aapke favour mein hoga. Office mein sab meh rahega. Wohi same tapri ki chai, jo aapko relax karti hai, shayad wohi aapko trigger kare. Remember, the problem is not tapri ki chai, it's you. Apne dimaag ko bolo thoda chill karein, harr cheez hamesha perfect nahi hoti. Single ho? Toh commitment ke chakkar mein mat padho abhi, romance ke naam pe RED FLAGS se saamna hoga. Beech raat ko achanak uthh jaaoge and anxiety ho sakti hai, on thoughts like - mera email password kya hai? Lunchbox shayad office mein reh gaya, etc. Totka: Gratitude practice karo, pata chalega life bohot sahi chal rahi hai.