PARROT KE SAATH GREEN LIGHT GUARANTEED.

 

Bengaluru ka traffic aur waha ke reckless drivers hamesha hi news me rehte hain, kabhi techies ka office pahunchne ka race hota hai, toh kabhi auto wale ka “5x surge price, no change” wala attitude!

 

Lekin is baar jo viral video chhayi hai, wo ek helmetless scooter rider ki wajah se nahi, balki uske unexpected pillion rider ki wajah se hai.
Aur nahi, yeh koi dost, bacha ya cab ka passenger nahi tha… yeh tha ek rang-biranga parrot tha bole toh tota!

 

Ek kandhe pe safety, doosre pe parrot!

 

Video me dekha gaya ki ek mahila bina helmet scooter chala rahi thi, aur uske kandhe pe ek majestic parrot full swag me baitha tha. Jo log helmet pehente hain unhe bhi Bengaluru traffic ka darr lagta hai, par yeh toh parrot tha, jo full confidence ke saath balance bana ke ride enjoy kar raha tha!

 

Bengaluru traffic sirf insaano ka dushman nahi, ab toh parrots bhi late ho rahe hain! Socho, bechara mitthu signal pe wait kar raha hoga, ek bhi cab nahi ruki, auto wale ne minimum fare ₹300 bola hoga, aur bike wale ne bola hoga, "Sir, short distance ride accept nahi kar sakte."

 

Aakhri option? Scooty wali madam ka shoulder booking karna! Bechara soch raha hoga, "Jungle mein bhi traffic hota, par kam se kam branch-to-branch connectivity free thi!" Bengaluru ke iss flying passenger ko dekh ke lagta hai ki agla step "Petpool – Ride Sharing for Pets" hone wala hai

 

Online video daalne ki deri thi bas, aur memes ki baarish shuru ho gayi.

Ek bande ne likha, "Helmet ka kya karna jab parrot traffic ka live commentary de sakta hai?"

Doosre ne toh full future imagine kar diya: "Bas ab yeh parrot signal pe bolna shuru karega ‘Aye bhai, chal na!’"

 

Lekin sabse funny reactions toh traffic police ki taraf se aaye. Unhone ekdam Bengaluru style me react kiya,

"Bird helmet available hai kya?"

 

Aur ek aur ne likha, "Parrot ke naam pe bhi challan katega ya sirf insaan pe?"

 

Bengaluru Roads – Jahaan Koi Bhi Passenger Ho Sakta Hai!

Ye koi pehli baar nahi hai jab Bengaluru roads pe ‘unexpected passengers’ dekhe gaye hain.

 

Is incident ke baad, kuch naye traffic rules banane ki bhi maang uthne lagi hai:

Pillion rider agar parrot hai, toh bhi helmet zaroori hai ya nahi?

Agar parrot signal tod ke urh gaya, toh challan kiska katega?

Future me agar aur log exotic pets ke saath scooty pe dikh gaye, toh unka bhi RTO registration hoga?

Safety First Ya Swag First?

 

Masti apni jagah hai, lekin scooter bina helmet chalana real risk hai. Bengaluru traffic pe waise hi kabhi bharosa nahi kiya ja sakta. Agar kisi mitthu ka bhi traffic par bharosa hai, toh uski himmat ko salaam!

 

Lekin agar pet-friendly rides ka yeh naya trend shuru ho gaya, toh aane wale dinon me Bengaluru roads pe sirf humans nahi, exotic animals bhi pillion riders bante dikhenge!

 

Soch lo, agla viral video helmetless biker ke shoulder pe ek python hoga!

 

Aap batao, agar aapko pet ke saath bike ride karni pade, toh kaunsa exotic passenger saath le jaoge? Comments me likho aur un doston ko tag karo jo traffic rules ko comedy samajh ke ignore karte hain!