Duniya Se Connected, Par Apno Se Disconnected!
Iss kalyug mein roti, kapda aur makaan ke bina bhale hi zindagi katt jaaye, ek cheez hai jo bina kisi compromise ke chahiye—Mobile phone! Yeh ab sirf ek gadget nahi, humari zindagi ka soulmate bann chuka hai. Bhale hi boyfriend se — ‘I love you’ sune na mile, lekin phone ke notification ki ‘tring tring’ zaroor sunai deni chahiye. Games khelne ke liye bhi chaahiye—phone, kaam karne ke liye chaahiye—phone, aur kaam avoid karne ka reason bhi hai—phone!
Ab agar aapko lag raha hai ki yeh sirf GenZ ki problem hai, toh reality check le lo. Kuch din pehle ek aisi news viral hui jisne sabko shook kar diya—Ek aunty ji phone pe baatein karte karte apna bachha hi dukaan mein bhool aayi! Matlab, ab phone ko khudke bachhe se bhi zyaada importance mil raha hai.
Scene kuch aisa tha—Ek aunty apne bachhe ke saath ek dukaan pe aayi. Phir usko ek call aaya, aur madam conversation mein aise ghus gayi jaise ki woh sab kuch bhul gayi—apna bachha bhi! Apne bachhe ko dukaan mein chod kar woh lady phone mein baate karte huye nikal gayi.
Bhala ho uss dukan waale bhaiye ka jo uske piche bhaage. Apne haath mein usse chhote bachhe ko lekar unhone ne uski maa ko awaaz lagayi, lekin aunty ji itni lost thi ki ek baar bhi piche nahi dekha. Finally, jab bhaiya ne full volume mein chillaya, tab jaake aunty ji palti. Apna bachha jab unhone unke haath mein dekha tab unhe yaad aaya ki bachha toh woh dukaan mein hi chod aayi. Aunty ko badaam khaane ki bahut zarurat hai taaki unki memory achhi ho jaaye.
Aunty ko maana padega—apne phone se woh bahut loyal hai. Hum toh yeh soch rahe hai ki aise kya gossip unhe mili thi ki woh baaton hi baaton mein apna bachha chod aayi. Don’t you also wanna know?
Phone addiction ab ek real problem bann chuka hai. Ek taraf hum AI aur tech advancements ki baat kar rahe hai, aur doosri taraf log phone ke liye apne bachhe tak ko bhool rahe hai—mind-blowing contradiction!
Aur irony toh yeh hai ki jis phone ko hum duniya se connected rehne ka zariya maante hai, wahi hume sabse zyada disconnect kar raha hai. Pehle log milkar gupshup maarte the, ab har koi reel share karne mein laga hua hai hai. Family gatherings ho ya dost ki shaadi, sab log stories daalne mein itne busy hote hai ki actual moment enjoy karne ka time hi nahi bachta.
Restaurant mein jao toh couples ek doosre se zyada phone ko pyaar de rahe hote hai, ghar pe baithe ho toh family dinner ka matlab ek haath mein spoon, doosre haath mein phone! Mummy papa jo kabhi hume phone use karne par daantte the aaj wahi phone se addicted ho chuke hai.
Moral of the story? Phone ke pyaar mein itna bhi lost mat ho jao ki reality se logout ho jaao. Roz badaam khao so you don’t suffer from short term memory loss like this aunty.
2025-04-21T00:00:00.000+05:30
Pune Police Ne Chapari logo ko gaana gakar kiya Silence!
2025-04-04T00:00:00.000+05:30
Crowd shocked, Bhai Aur Tai Ka Naagin dance rocked!
2025-04-04T00:00:00.000+05:30
Duniya Se Connected, Par Apno Se Disconnected!
2025-04-04T00:00:00.000+05:30
BRIDE CHAHIYE YA BROOM?
2025-04-04T00:00:00.000+05:30
Recipe For ‘Disaster’ Ya ‘Disaster Recipe’? Dono Hi!
2025-04-02T00:00:00.000+05:30
PARROT KE SAATH GREEN LIGHT GUARANTEED.
2025-03-28T00:00:00.000+05:30
Dulhan Ka Mandap Se Walkout, Dulhe Ka Lockup Mein Checkout!
2025-03-25T00:00:00.000+05:30
Haldi Ceremony Mein Aaya Ek Bin Bulaya Mehmaan... Ek Bandar!