“Sharmaji Ka Beta” Aur “Vermaji Ki Beti” Ke Wedding Card Ne Machaya Internet Par Dhamaal

 

“No gifts please, give cash only” likhkar, iss wedding invite ke original
creator, Akshar Pathak ne jeeta sabka dil.

 

 

Wedding season joro-shoro se chalu hain aur hazaaron cards (jo hume
hamare single honeka aur ehsaas dilate hain) ke beech yeh funny card
itna zyada honest hain ki log iske peeche baukhala hi gaye hain!\

 

 

Iss card mein hain har Indian ki dil ki baat. Useless wedding gifts jaise ki “juicers, mixers aur grinders” ko seedha target karte huye, yeh card guests se maangta hain “cash”! Ab yeh hum sabki dil ki baat hain yaa nahi? Aakhir 5 dinner sets ka kya hi karenge couples, hein? 

 

 

Picture toh abhi shuru hui hain, friends! Iss card ka fun sirf cash maangne tak limited nahi hain. Guess karo dulha aur dulhan ka naam kya hain? Arre woh… wahi… aapke papa ka favourite Sharma ji ka ladkaaur mohalle ki Verma ji ki ladki”. School mein tumse aage the, shaadi ka invite banane mein bhi tumse aage nikle yeh. 

 

 

Shaadi ke khane mein extra litti chokhe ke sath ek extra aur beta, aap kab karoge shaadi? ke liye bhi ready rehna. Kya? Yeh hum nahi keh rahe. Yeh card keh raha hain! Aur toh aur wedding date ke liye likha hain a very auspicious day, so there’ll be 22,000 other weddings and you’ll be stuck in traffic for hours” kyuki woh ek shubh mahurat sirf tumhare liye nahi hain.

 

 

Ultimate sach ka saamna jo almost har Indian wedding ki kahani hain–shaadi shuru hone ka time. Card mein likha hain,

“7:00 pm onwards

Hum khud 8:30 aayenge”

Uss 1.5 hours mein aap apne liye partner dhundh sakte ho (agar ho sake toh), so sakte ho, frustrate ho sakte ho yaa aur 4-5 starters thoos sakte ho.

 

 

Aur yeh raha iss card ka climax—wedding venue ka map. Yeh aapki problems solve nahi karega, unhe badhayega. Kyuki India mein location yaa map chahe jitna bhi dedo, pohochte toh log aakhirkar puch puchke hi hain. 

 

 

Shaadiyon mein honewale kharcho se lekar wedding hashtags tak, yeh brutally honest wedding card hum sab ki dil ki baat toh kehta hain. 

 

 

Relate kiya? Toh aage share karo na!