A LIGHT MOMENT provided some relief during a crisis when a man’s bizarre ‘English’ interview went viral online.

Angrezi Ka Jalwa

Punjab ke floods ne gali-mohalle mein paani toh bhar diya, lekin ek ajeeb-o-ghareeb interview ke bahaane social media pe bhi hasi-mazak ka high tide aaya gaya. Iss video mein ek bhai sahab interview dete waqt Angrezi bolne ki koshish karte hain — aur result? Ek naya subject: Flood Studies + English Literature + World Politics = Total Dhamaal.

Jab Flood report ban gayi English experiment

Reporter ne normal sawaal kiya: *“How is the flood situation?”*

Aur bhai sahab ne full TED Talk shuru kar di:

“Flood is the, Himalaya Parvat is the very rainfall, this is the China… this is the world war. And you do not … Japan, Rus and Russia, do you understand?”

Sunne waalon ko samajh mein kam aaya, par hasi zyada aayi. Matlab ek taraf flood ka paani, doosri taraf angrezi ka tsunami!

Intercourse se lekar Sun Theory tak

Aur interview mein sirf flood ki baat nahi hui. Beech mein aaya ek shocker:

*“You have been underestimating the intercourse? No. Aurat, woman is the very well…”*

Phir ekdum se shift hua: “Sun is the theory, very hot, very shine…”

Matlab ek hi interview mein geography, politics, biology aur physics sab cover ho gaya. Aap interview sunkar bata sakte hain ki yeh woh banda hai jo jawab na aane ke bawajud exam paper bhar ke aata tha. Aur examiner bhi usey full marks de deta hoga yeh soch kar ki shayad mujhe se hi syllabus cover nahi ho paya hoga. Out of syllabus question toh suna tha, out of syllabus answer pehli baar dekh raha hoon. 

Internet par memes ki barsaat

Video viral hote hi reactions bhi barsaat ki tarah aaye:

“Flood ka paani kam tha kya? Ab English ka flood bhi aa gaya.”

“Yeh banda news channel pe nahi, stand-up stage pe hona chahiye.”

“Ab samajh aaya… flood report ka matlab hai sab subjects ek saath beh jaana.”

Kisi ne likh diya: *“Knowledge deliver ho raha hai, samajh bhale hi na aaye.”

Moral of the story

Flood ki situation zaroor serious hai, par iss video ne thoda sa mahol light kiya aur hansne ka mauka diya.

Aur haan koi bhi bhaasha seekhne aur bolne wale ke courage aur curiosity ki tareef toh karna chahiye. Shayad is viral interview se yahi takeaway hona chahiye. Bhale hi bhaasha aur subject matter ki full knowledge ho ya na ho, agar mann mein confidence hai toh saamne aake poori ki poori dictionary bol do. Chahe woh kisi ki samjah mein aaye ya na aaye.