Tedhe Samachaar ki Seedhi Baat

 

- Banda ₹12,000 ki “part-time” job join karne gaya… par woh full-time nikli.
- Sirf teen ghante mein usse samajh aa gaya: yeh naukri uski bandwidth se tez bhaag rahi hai.
- Shift timing 9 hours, workload rocket-speed — sapne slow-motion.
- Banda quietly resignation likh ke nikal gaya, HR ka welcome email bhi pending reh gaya.
- Internet ne isse declare kiya: “India ka quickest resignation speedrun.”

 

 

₹12,000 SALARY    , 9-hour shift, aur sirf teen ghante ka career — yeh story seedha Boing Hall of Fame ke “Workplace Plot Twists” wale shelf pe jaati hai.

 

 

Ad Dekha, Sapne Dekhe

Ek young bande ne socha tha, “Yaar, apna first job start karte hain… part-time job hogi, ₹12,000 milenge, life set." Reality mein kuch aisa hua: “Socha tha kar lenge… par hum se na ho paya.” Mereut ki ek startup ne job post daali. Banda join bhi kar gaya. Par teen ghante baad usne quit bhi kar diya.

 

 

Reality Check: Part Time Job, Full Time Panic

Job par log on karte hi pata chala ki ₹12,000 ka salary toh full-time ke liye hai, part-time ke liye nahi.

Shift timing? 9 ghante.

Workload? “Thoda hectic hai, adjust kar lo beta.”

Feel? “Mere sapno ho gaye choor?”

Banda teen ghante baith kar sochta raha: “Agar yeh first day hai, toh month-end kaisa hoga?”

Phir usne quietly resignation likh diya — even before HR's welcome email.

 

 

Employee Quit, Internet Fit

Jab usne apni teen-ghante-wali kahani online post ki, toh internet full HR vs Employee boxing match mode mein chala gaya.

Some people said: “Boss, ₹12,000 mein toh ghar se nikalna bhi mehenga hai.”

Others: “Humein toh pehle din hi pata chal jaata hai ki yeh rishta aage nahi badhne wala."

Aur ek well-known banker/investment guru ne toh beautifully summarise kar diya: “Salary kam nahi, expectations zyada hain.”

 

 

Work Culture Ka Satyanaash

Funny situation hai, par real bhi. Kaafi logon ka pehla job aise “plot twist” ke saath aata hai — job description ek, reality kuch aur. Aur kabhi-kabhi quitting early is not a failure… it’s cost cutting of your mental bandwidth.

Sher-o-shaaayri ki zubaan mein kahein toh: “Aukaat pata chal jaati hai pehle hi din… chahe job ki ho ya life ki.”

 

 

Boing Hall of Fame Verdict

Teen ghante ka employment. Zero training. Full-on existential crisis. And a resignation letter that probably said, “Thank you for the few hours of the opportunity.”

 

**

 

Boing FAQ’s

 

WHO?

Ek young job-seeker jisne 3 ghante ka career record banaya.

 

WHAT?
₹12k salary wali job jisme part-time bola gaya, par full-time nikla — banda teen ghante mein quit.

 

WHEN?
Recent viral workplace story.

 

WHERE?
Meerut ki ek startup office.

 

WHY?
Shift 9 hours, workload heavy, expectations sky-high — banda bola “no thanks.”

 

HOW?
Join → shock → self-reflection → resignation before HR ka welcome email.

 

 

About Author
Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.