GARAM ROTI, THANDI SOCH. Kuch log shaadi mein pyaar dhoondte hain, kuch paisa — aur phir aaye Mr Mehtab, jinko chahiye thi sirf time pe roti.
UP ke Hamidpur gaon mein shaadi ki party full ready thi. Band, baaja, baraat, mood — sab set tha. Par jaise hi dinner serve karne mein thoda delay hua, dulhe raja ne ego high flame pe chadha diya.
Baraati bole “roti late hai,” aur bhai sahab ne ‘gajab bejjati hai’ wala mode on karte hi socha bas, ab ya toh roti mile ya main chala. Aur chale bhi gaye — full procession ke saath.
Shaadi cancel kar ke ghar pahunchte hi bhai ne next-level move maara — seedha doosri shaadi kar li. Meanwhile, unki OG bride saj-dhaj ke baithi thi, par dulha toh kabka kisi aur ka ho chuka tha.
Bride ke parivaar ne police complaint file ki; bola ₹7 lakh ka nuksaan hua, paise bhi gaye aur izzat bhi. Internet ne turant judgement suna diya: “Madam, aapne toh bullet nahi, poori machine gun dodge kar li.” Kisi ne comment kiya, “Socho shaadi ke baad agar chapati 30 second late hoti toh kya World War 3 chid jaata?”
Yeh story sirf roti ki nahi, rotten attitude ki hai. Kuch log kehte hain shaadi mein samjhauta zaroori hai — par yahaan toh samay pe paratha mandatory tha. Ek delay, aur dulhe ne shaadi hi cancel kar di; pyar to dur, ye rishta timer pe set tha.
OG dulhan ke liye yeh divorce se pehle hi deliverance tha. Unhone prove kar diya ki khud par thodi gossip chalegi, par self-respect zyada zaroori hai.
Iss saal ke sabse unforgettable shaadi headlines mein yeh ek classic entry thi — jab dulha patience test fail kar gaya aur dulhan ne life upgrade kar liya. Moral simple hai: agar roti late aaye, toh thoda sa dil garm rakho…warna zindagi tumhe thanda future paros degi.
Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India.
Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.