Pune Police Ne Chapari logo ko gaana gakar kiya Silence! 

Imagine karo, ek shaant shaam, halki si hawa, aap aur aapki gaadi, bina traffic ka rasta…

 

Ekdum se ye awaaz sunai deti hai:

BRRRR BWAAAAH BWAAAAAAH BWAAAAAHH.

 

Mubarak ho. Ab aap behre ho.

 

Ji haan. Modified bullet gang aa chuki hai!

 

Sadak pe shanti ho, yeh toh sab chahte hain. Par yeh ek elite category hai jinko shanti tab tak nahi milti, jab tak unki Bullet ka exhaust earthquake ka early warning system na ban jaaye.

 

Inke silencer mein silence ka koi scope hi nahi hota.
Aur style? Bas poora city janna chahiye ki “bhai nikal raha hai.”

 

Ye log sirf bike nahi chalate, ye har gali, sadak, signal aur flyover pe apni arrival announce karte hain. Jaise koi royal parade nikal rahi ho aur hum sab darbaar mein khaamosh khade hain.

 

Par is baar police ne bhi socha:
 “Bass ho gaya bhai. Awaaz ka jawab toh awaaz hi se dena padega.”

 

Na danda, na challan.
Pune Traffic Division ke officer Aatish Kharade ne inhi logon ke liye tune pakad li. Aur sirf pakad hi nahi li, ek proper “mic drop" moment create kar diya.

 

‘Kaise Tu Gungunaye’ ke popular tune pe ek full traffic awareness gaana release kiya gaya. Aur gaane ke lyrics? Ekdum seedhe dil pe shot maarte hain. Gaana ek tarah se public service announcement hai, but chapri rider ke liye special diss track bhi hai.

 

Aur honestly, first time lag raha hai ki police ka guitar, silencer se loud lag raha hai.

 

Gaane ka theme simple hai:
Punekars se bola gaya hai ki agar koi “aise chapari” rider mile, toh bas uski photo ya video bhej do.
Police action legi aur aapka naam bhi safe rahega.

 

Socho scene kya hoga?

 

Rider signal pe thoda throttle dega, expecting ki log mud mud ke dekhenge.
Ek uncle quietly phone nikalenge.

 

Rider sochega, “Wah, celebrity feel aa rahi hai!”

Lekin reality? Tere fan nahi, tera case ban raha hai bhai.

 

Aaj tak log police ka danda dekh ke darte the. Ab guitar aur ring light se bhi stress aane laga hai.
Public embarrassment ka naya format mil gaya hai.
Saza bhi milegi aur woh bhi Spotify-worthy beats ke saath.

 

Yehi toh asli creativity hai bhai. Jab silencer pe song banne lage, samajh jao ki aapka stunt viral se direct FIR tak jaa sakta hai.

 

Kal ko kya pata, yehi rider kisi rap verse ka subject ban jaaye.
 Gaane ka title: “Brake Nahi, Break Hai Tere Silencer Mein”

 

Toh sawaal yeh hai  tameez se bike chalani hai, ya next track ka inspiration banna hai?



CTA:
Gaana sunke batao, agar Pune Police ka style itna hatke hai, toh aap unko kaunsa gaana dedicate karoge? Suggest karo comments mein aur tag karo apne woh doston ko jinke silencer mein sabse zyada attitude hai.