A PROFESSOR’s night at the museum ended up with a missing historic replica.
Ek professor ka museum mein hona totally normal hai. He’s supposed to be an educator aur museum mein history aur culture ki sabse important artefacts aur replicas hote hain. Toh aap expect karnge ki ek professor museum jaaynege shayad school ya college trip par. Students ko sikhaane. Ya ho sakta hai akele bhi chale jaaye kuch research karne. Lekin Delhi ke National museum mein ek professor sahab pohonch gaye historic murti ko chori karne!
Woh professor jo students ko class mein bolte honge “history ki izzat karo” unhone khud hi history ko dabe hatho uthaa liya.
Professor apne students ke saath hi museum ghoomne aaye the aur unko laga hoga ki “field trip ke bahaane thodi fielding set kar dete hain aur murti ka catch pakad ke yahaan se man of th match ho jaate hain”. Unko kya pata tha ke CCTV footage unka third umpire banke unko run out kar dega. Professor full confidence mein murti bag mein daal ke nikal rahe the. Shayad unhone history channel se zyada ‘Mission Impossible’ dekh rakhi thi.
Jab baahar jaate waqt unke bag ki searching hui toh uss mein musuem shop ki chhoti murtiyaan mili jo kharidi gayi thi thi. Lekin phir aaya asli twist — ancient ‘dancing gir’l ka bronze statue replica jo sale pe nahi tha woh bahar nikla. Wah professor sahab aapne bhi socha hoga ki smaller idols ke saath precious cheez chupa dunga toh kisi ko kya hi pata chalega?
Police ne un par “theft in protected premises” ka case daal diya. Matlab ab woh ek chapter padhenge: *“How to become chor in one easy step.”
Sochne ki baat yeh bhi hai ki kya yeh professor history ke itne maniac the ki inhe iss statue se kuch zyada hi lagaav tha aur woh isse apne paas hameshaa ke liye rakhna chahte the, ya phir inki professor ki salary kam pad rahi thi isliye inhone thode *ahem* side income ke liye is murti ko chura liya? Ya phir, professor saham ki wife ne unse kaha “aji sunte ho, living room ke liye koi ek acha showpiece lete aana” aur professor sahab ko museum mein laga ki mauka acha hai, benefit kar sakte hai?
Wasie yeh “Dancing Girl” 4,500 saal purani Mohenjodaro ki murti ka replica hai. Sirf 10.5 cm ki — matlab ek Fevicol ki tube se zyada badi bhi nahi. Is liye professor sahab ne lage haatho apne haath mein chipka diya.
Aur honestly, replica bhi aisi thi ki lagta hai murti keh rahi ho: “ Mujhe chori karne wale ko jail jaate hue dekh kar main to naachung’
Dilli walon, ab samajh jao: chori sirf sona-chandi ki nahi hoti, kabhi kabhi ek chhoti si bronze ki murti ki bhi ho sakti hai. Aur professors, please apni research ki bhookh ko library tak hi rakhiye. Itihaas ko padh kar apne dimaag mein daaliye, apne pocket mein nahi.