Tedhe Samachaar ki Seedhi Baat:
- UP Police Academy ke ek recruit ne sirf ek reason diya: “4 baje nahi uth paata.”
- Sirf paanch din training ke baad banda ne full confidence ke saath resignation daal diya.
- Letter itna honest tha ki internet ne bol diya: “India’s Most Real Quit.”
- Barracks confused, public impressed — clarity level: 100/10.
- Kahaani relatable isliye hui kyunki half the nation bhi isi wajah se quit karna chahta hai.
POLICE TRAINING tough hoti hai, par is recruit ne woh sach bol diya jo hum sab sirf sochte hain: “Main 4 baje nahi uth sakta.” Aise honesty ke liye Boing Hall of Fame banta hai.
UP Police Academy ka ek naya recruit — let’s call him The Sleepy Soldier — reported for duty, did the rounds, filled the forms, wore the uniform… and then discovered the biggest enemy of his career:
The 4 am ka alarm.
Paanch din mein hi usne training HQ ko ek resignation letter de diya: “Mujhse subah itni jaldi nahi utha jaata.” AKA "Bhaiya humse naa ho paayega".
Pure confidence. Zero hesitation. Straight talk. Honestly? Respect.
Aap sochiye: log mental pressure, family issues, health concerns, hazaar wajah batate hain quit karne ki. Par yeh banda? Ek hi line:
“Uth nahi paata. Isliye resign kar raha hoon.”
Kya clarity hai. Kya minimalism hai. Notion templates ro ro kar yeh honesty maang rahe honge.
Training HQ ke officials reportedly confused, shocked, and thoda impressed bhi hue. “Discipline ka issue hai,” unhone bola. Hum kehte hain: “Bhai, at least self-awareness toh hai.” Aur sach bolo — India ki half workforce, agar sach batati, toh resignation letters kuch aise dikhenge:
“WFH ke bina life meaningless hai.”
“Office ki chai mein mazaa nahi aata.”
“AC ki hawa seedhe mere muuh pe aatir hai.”
“Team meeting 9AM ko kaun rakhta hai, yaar?”
Iss bande ne woh sach bol diya jo hum sab Monday morning bolna chahte hain: “Main iss zindagi ki 4 AM waale expectations meet nahi kar sakta.”
Actually, what courage. Ye resignation nahi, ye nationwide sleep-deprived logon ke dil ki awaaz hai. Kai Logon Ki Kahaani, Ek Aadmi Ki Zubaani
Social media par log mazaak bhi uda rahe hain aur low-key sympathy bhi de rahe hain. Because somewhere, deep down, sab jaante hain —
Alarm clocks break more dreams than failure. Aur hum yeh bhi jaante hain ki
“Discipline important hai… par 4 baje uthna, bhai, alag hi level ka tapasya hai.”
Constable banne ka sapna chala gaya, par ek lifetime achievement award mil gaya: “India’s Most Honest Resignation.” Bhai, tu jeet gaya. Hum sab tere saath hai — from under our blankets.
**
BOING FAQ'S
WHO?
UP Police Academy ka ek brand-new recruit jo 4 AM alarms se haar gaya.
WHAT?
Training join ki, uniform pehna… aur paanch din baad resignation letter daal diya with one honest line.
WHEN?
Recent training batch ke dauraan — internet par story ab hi viral hui.
WHERE?
UP Police training academy ke barracks.
WHY?
Kyuki “itni subah uthna mushkil hai” — and honestly, nation relates.
HOW?
Ek crisp, brutally honest resignation letter ke through — jo seedha social media ke Hall of Fame mein chala gaya.
About Author
Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.
2025-11-25T00:00:00.000+05:30
Judgmental Mix-up: Jab Police Chor Ke Badle Judge Ki Talashi Le Baitha
2025-11-25T00:00:00.000+05:30
Follower Fiasco: Jab Do Unfollows Ne Shaadi Ki Neend Uda Di
2025-11-24T00:00:00.000+05:30
Morning Training Blues: Jab 4 Baje ki Training Ne Nikaali 5 Din Mein Hawa
2025-11-23T00:00:00.000+05:30
Three-Hour Job: Jab Ek Din Ka Kaam Almost Bana Zindagi Bhar Ka Regret
2025-11-22T00:00:00.000+05:30
The PowerPoint Dulha: Jab Shaadi Bani Equity Pitch
2025-11-22T00:00:00.000+05:30
Haathi Ka Scam, Aadmi Ka Drama
2025-11-21T00:00:00.000+05:30
Swipe Surprise: Jab Dating App ke Through Mummy ne Dhoonda Employee
2025-11-19T00:00:00.000+05:30
Helicopter Ka U-Turn: Jab Campaign Ka Chopper Ulti Rally Par Pohoch Gaya