Maha Kumbh Ka Digital Jugaad.

Popup Icon

Enjoying exploring?

Sign up for more

Agar aap Kumbh Mela nahi ja sakte, koi tension nahi! Bas apni photo WhatsApp pe bhejiye, paise transfer kariye, aur aapki tasveer ko pavitra paani me dubo diya jayega.

 

Ye desi innovation hai ya ultimate scam? Ye toh aap khud decide kar sakte hai!


Chalo aapko iski thodi details bata dete hai.

Maha Kumbh Snan, Par Sirf Tasveer Ke Saath!

Prayagraj ke Deepak Goyal ji ne ek naya startup model launch kar diya hai. Unka kehna hai ki jo log Maha Kumbh Mela tak nahi aa sakte, wo bhi punya kama sakte hain, bas apni photo bhej kar.

 

Business ka simple funda hai:

 

Step 1: Apni photo bhejo WhatsApp pe.

Step 2: 1,100 rupaye transfer karo.

Step 3: Aapki photo ko Triveni Sangam me snan karaya jayega.

 

Matlab ab paav gande karne ki bhi zaroorat nahi, bheed-bhaad ka tension bhi nahi, aur pollution ka bhi koi risk nahi!

 

Par sawal yeh hai ki kya yeh sahi hai ya ultimate online fraud?

 

Public Ka Reaction – Dharmik Se Zyada Digital Lag Raha Hai!

Jab ye video viral hua, toh social media pe logo ko gajab shock lag gaya! 
Log divided the, kisi ko yeh best business idea laga, toh kisi ne bola "dharma ka mazaak banaya ja raha hai."

 

Ek user ne likha:

"Bhai, is logic se toh main apni DP bhi snan karwa sakta hoon!"

 

Dusre ne bola:

"Aaj photo bhej rahe hain, kal hologram bhej ke online darshan bhi kara denge!"

 

Par kuch logon ko laga ki yeh ek intelligent business model hai. Unka kehna tha ki Maha Kumbh jaake bheed me atakne se acha hai, digital option hi sahi!

 

Bharat Mein Dharm + Business = Ultimate Formula!

Agar hum Indian entrepreneurship ki history dekhein, toh religion aur technology ka fusion naya nahi hai.

 

Online Puja Booking: Aaj kal log WhatsApp pe pandit ji book kar lete hain jo ghar baith ke online havan kar dete hain.

Digital Prasad: Bade bade mandir ab prasad ghar bitha ke deliver karte hain.

Live Darshan Services: Kayi temples ne YouTube aur Facebook pe live aarti ka feature shuru kiya hai.

 

Toh agar sab kuch digital ho sakta hai, toh snan kyun nahi?

 

Lekin dharmik sentiments ka bhi ek alag point hai. Jo log snan ko ek emotional aur spiritual experience maante hain, unke liye yeh thoda ajeeb lag sakta hai.

 

 

Bhai, agar yeh concept viral ho gaya, toh sochiye future kaisa dikhega:

 

Photo Snan Ke Baad "Photo Tirth Yatra" Bhi Aayegi! Aap bas apni DP bhejiye, aur aapka photo Char Dham yatra kar ke aayega.

Mandir Online Pravesh Pass Laayenge! QR code scan karo, virtual temple enter karo, aur aarti dekho.

Hologram Darshan Services! Aapki 3D image direct pandit ji ke samne prakat ho jayegi.

Wedding Ka Digital Phera Package! Dulha aur dulhan photo bhejenge, aur pandit ji screen ke saamne mantra pad kar confirm kar denge.

 

Matlab duniya AI aur VR me ja rahi hai, aur hum gharpe WhatsApp pe snan kara rahe hain!

Aap Batao!

Agar aapko Maha Kumbh me jaane ka chance na mile, toh kya aap Digital Photo Snan service try karoge?

 

Comment karo aur un doston ko tag karo jo is service ke naye customers ban sakte hain!