KUCH LOG STRESS MEIN THERAPY lete hain, Bihar ke kuch log road le lete hain. Reports ke mutaabik, ek poori sadak ko raat ke andhere mein plough karke gehu uga diya gaya. Matlab jab zameen bhi confused ho gayi — “main raste mein hoon ya raste ke saath hoon?”

 

Smart Farming, Dumb Planning

Yeh koi ordinary jugaad nahi tha — yeh tha “urban farming, rural edition.” Jahan doosre log terrace pe basil uga rahe hain, yahan poori highway pe wheat harvest chalu tha. Infrastructure minister kahin se dekhte honge aur soch rahe honge: “Yeh kaunsa crop circle hai, bhai?”

 

Public Reaction: GPS bhi Ghum Gaya

Villagers subah nikle office aur rasta literally gayab mila. GPS ne bola “recalculating route,” par route toh ab field ban gaya tha. Jahan pehle tyre marks hote the, ab tractor marks hain. Swachh Bharat se zyada Sow Bharat lag raha tha.

 

Investigation in Progress (Aur kheti bhi)

Authorities ne kaha “matter under investigation.” Matlab ek taraf police field visit karegi, doosri taraf field mein gehu nikal raha hoga. Multi-tasking level: Bihar IAS edition.

 

Meme Dept. on Fire

Internet ne turant declare kar diya: “Sadak gayi, crops aaye — at least kuch toh yield mila.” Ek user ne likha: “First they stole our hearts, now they steal our roads.”

 

Doosre ne bola: “Road bhi organic mil gayi — plastic free, asphalt free, eco-friendly!”

 

Moral of the Story: Don’t Take Roads for Planted

Kabhi kabhi development literally underground chala jaata hai. Sadak aur system dono hi “fertile ground” pe chal rahe hain — bas difference itna hai ki ek mein gehu ugta hai, doosre mein excuses.

 

Toh agla time jab koi bole “ground reality dekho,” unse kehna — “Bhai, yahaan toh ground hi reality ban gaya hai.”

 

About Author

Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. 

Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.