Honking Ke Liye Chalaan Nahi Kata, Zordaar Sabak Mila!

 

This traffic police applied “jaise ko taisa” in real life. Phir kya hua? Internet par waah-wahi aur social media par well-deserved validation! 

 

 

Gharse nikalte hi, kuch durr chalte hi… Kya hota hain? Traffic milta hain! Aur uss traffic mein zindagi ki har mushkil chhoti lagne lagti hain. Kyun? Kyunki kuch logon ko honking ki taraf itni beintehaan mohabbat hai, ki uss moment mein, woh hi aapki zindagi ki sabse badi problem ban jaate hain!

 

Apne gaadi ke horn se alag alag remix banana bada mazedaar ‘task of the day’ toh hoga par jo aage wali gaadi mein baithe hain, unka kya? Uss gaadi ki aage wali bike ka kya? Sadak par jo chachaji chal rahe hain unka kya? Footpath par do lovers ke beech ke argument mein jo interruption ho rahi hain, uska kya?

 

Issi cheez se frustrated, ek smart traffic police ne Bengaluru bus drivers ko sikhaya ek yaadgaar sabak! Yeh bus drivers maze mein chala rahe the apne buses aur itne passionately honk kar rahe the jaise ki yeh chaos nahi, unke kaano ke liye ek madhur sa sangeet hain. “Noise pollution? Woh kya hota hain???”

 

Phir kya hua? Phir iss traffic police ne inn buses ko roka, bus drivers ko utara, aur fine charge kiya. Kahaani ka twist? Fine mein paise liye yaa nahi woh pata nahi, par woh traffic police ne inko buses ke ek dum paas khada kar diya aur dusre driver ko zorse honk karne bola. Maza aaya? Bus drivers ko toh bilkul bhi nahi, par internet par logon ne iss incident ke bade maze liye.

 

Ek insaan ne isko next level par le jaate huye yeh bhi kaha ki traffic police ko same cheez karni chahiye par headlights ke sath. Ouch!!

 

Kuch logon ne iss traffic police ko appreciate karte huye bola ki all over India, jo bhi traffic policemen hain, unko yeh tareeka adopt kar lena chahiye. Matlab chalaan jaisi cheezo par time waste nahi, yeh karo, best solution hain. Nahi? 

 

 

Yeh incident hi aisa hain ki inn bus drivers ke sapno mein bhi yeh horn bajege. Raaton ki neend kharab hogi aur Bengaluru ki sadko par ghanto traffic mein atke rahege par horn nahi bajayege. Aise hi hota hain desh ka bhala, kya bolte ho doston?

 

Hain koi tumhara yaar (yaa pyaar) jo horn baja bajake dimaag kharab deta hain? Yeh share karo uske sath aur yeh full-proof technique uspe apply karo!