Seatbelt se Safety Adhoori Hai, Ab Helmet Bhi Zaroori Hai

Helmet na pehenne par challan katna toh bohot common baat hai. Aur ho bhi kyun na? Rule is a rule. But usually jab aap helmet aur challan sunte hain toh aapke dimaag mein ek two wheeler chalaane wala aata hai. Correct?

But Ghaziabad mein ek car owner ko challan mil gaya helmet na pehenne par!

Yani ki gaadi 4 wheeler par fine bike wala! Shayad we should be thankful ke 4 wheeler dekh kar 2 challan nahi kaat diye, one for each pair of wheels.

Traffic police ne socha hoga — “Safety ka scope bada hai, car ho ya rocket, sabko helmet pehnao.” Agar yeh rule sach mein apply ho jaaye, toh showroom wale bhi bolenge: “Sir, Swift ke saath free helmet milega, bas boot mein fit karna aapki zimmedari hai.”

Social Media Ki Red Light Green Light

Jaise hi challan ki photo viral hui, jokes ka flood aa gaya. Koi bola, “Did you know helmet utaarte hi Bullet Alto bann jaati hai?” Another person chimed in with “Next time inki car start nahi ho toh gaadi ek taraf jhuka ke try karna shayad start ho jaaye”

Ek user ne likha, “What’s next? Cycle ko truck wali lane mein jaane ke liye fine?”

Error Ya Experiment?

Authorities ne bola ki yeh ek “technical error” tha. Lekin asli sawaal yeh hai—error tha ya police ka naya social experiment? Ho sakta hai yeh test run ho future ke liye, jahan sabko gaadi mein helmet pehenna pade, taaki accident mein gaadi bhi surakshit rahe.

Jo bhi ho, car owner ka paisa gaya aur duniya ko ek naya comedy item mil gaya. Lesson simple hai: India mein challan sirf galtiyon se nahi, kismat se bhi milta hai. Toh agli baar car le kar niklo toh documents ke saath ek helmet bhi rakh lo.