Bengaluru ne launch kiya sabse eco-friendly revenge plan — “Throw garbage, get garbage.” Civic sense ko viral karne ka naye zamaane ka Swachh Bharat Challenge.

 

Tedhe Samachaar ki Seedhi Baat:

- Bengaluru ne socha: “Lecture se nahi sudhrenge, toh litterers ko literal lesson dete hain.”

- Rule simple hai: Sadak pe kachra pheko → Shaam tak wahi kachra aapke ghar pe parcel ban ke aayega

- Fine bhi milega, fame bhi: ₹2,000 penalty + video evidence = viral embarrassment.

- City ka mood: “Karma is biodegradable.”

- Result: Clean roads, confused citizens, aur memes ke liye unlimited material.



Garbage Ka Badla, 100x Zyada

Bengaluru ki streets pe ab sirf litter nahi, justice bhi bik raha hai.

Greater Bengaluru Authority (GBA) ne launch kiya hai “Garbage Dumping Festival” — jahaan agar aap sadak par kachra phekte huye pakde gaye, toh authorities aapke ghar ke bahar wahi kachra 100 guna return kar deti hain.

Matlab ki ‘karma’ ka concept Bengaluru ne officially operationalize kar diya hai.

 

 

Ek Citizen, Do Dustbin, Teen Auto

Subah-subah GBA ke sanitation marshals areas patrol karte hain — camera on, gloves ready.
Jo bhi litter karte hue dikha, turant record kiya jata hai, address trace hota hai, aur shaam tak ghar ke bahar hoti hai ek kachra ka deposit.
Yahi nahi, inhe fine bhi lagta hai — minimum ₹2,000 — aur agar aap refuse karein, toh “return gift” doorstep par deliver kiya jaata hai.
First day ke results: 218 homes, ₹2.8 lakh collected, aur Bengaluru ke memes section ne declare kar diya — Festival of Trash officially begins.

 

 

Resident Reactions: ‘Karma, Recycled’

Kuch log bol rahe hain — “Bengaluru ka civic sense ab revenge mode mein aa gaya hai.”
Resident associations ne iss campaign ko “necessary shock therapy” bola.
Ek user ne likha: “Best part? Ab littering bhi premium experience ban gayi — doorstep delivery included.” Dusre ne bola, “Bas ab safai workers ko bhi influencer status milna chahiye.”

 

 

City of Kiosks and Kachra?

Campaign ke next phase mein 65 garbage kiosks install kiye ja rahe hain — har ek mein segregated bins aur citizen access during designated hours.
Authorities ne WhatsApp number bhi diya hai — taaki agar aapko “kachra crime” dikhe, toh report kar sakein. Matlab Bangalore mein ab “Good Morning” ke saath “Got Trash?” bhi trend karega.

**

 

Boing FAQ’s

 

 

WHO?
Greater Bengaluru Authority (GBA) aur unke sanitation marshals.

 

WHAT?
“Garbage Dumping Festival” — ek campaign jahaan litterbugs ko unka hi kachra 100x return milta hai.

 

WHEN?
Launched on October 30, 2025, abhi se viral ho gaya.

 

WHERE?
Bengaluru, jahan cleanliness aur comedy hand-in-hand chalte hain.

 

WHY?
Kyunki awareness se zyada effective hota hai embarrassment.

 

HOW?
Video evidence + fine + doorstep dump delivery = clean city, dirty pride.

 

 

About Author

Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. 

Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.