Chor Nikalke Bhaaga Nahi, Maafi Maanga!

Maafi ke liye kaha tak jaa sakte ho aap? Kya aap Tamil Nadu tak jaa sakte ho? Hum toh nahi jaa sakte, magar ye mahashey ne ye kar dikhaaya!

 

Dimaag ko baukhla dene waale ek kisse mein, Tamil Nadu ke ek tehzeebdaar chor ne bike churayi aur kuch dinon baad owner ko lauta bhi di! Ek apology note aur ₹1500 ke saath!

 

Bike chori hone ke baad owner Veeramani ne turant paas ke police station mein complaint file kari. Mann mein dukh, aankhon mein aansu aur dil mein gussa lekar police station gaye the. Par kuch dinon baad bike unke ghar ke saamne khadi mili. Police ka chamatkaar nahi, chor dildaar! Police shocked, chor rocked. Aur sabse mazedaar baat, chor abhi bhi faraar hai!

 

What a cutie yaar! Apology letter mein likha tha ki bure waqt ki wajah se bike churaane ke alawa koi aur chaara nahi tha. Emergency na hoti toh vo bike kabhi na churate. Asal mein vo bike churayi nahi, rent pe li gayi thi. Bas owner se poochhna bhool gaye!

 

Chor ji ek 4-lane highway pe bina kisi vaahan ke phase hue the. Unhe jaldi se kahin pohochna tha. Aise situation mein koi kya karega? Lift maangega? Taxi book karega? Auto lega? Nahi! Galat! Shayad normal log ye sab karenge, par humaare pookie chor toh aakhir chor hi na! Jo bike sahi lagi, pakdi aur seedha nikal pade.

 

Socho, ek taraf humaare dost hain jo 10 minute door se bhi milne nahi aate, aur ek taraf yeh chor jo 450 KM travel karke bike lautaane gaya! Sirf bike nahi, ek apology letter bhi diya. Aur uske saath petrol tank mein ₹1500 bhi rakh diye! Matlab bike rent karne ka bhaada! What a lovely surprise for the owner!

 

Vaise bhaada nahi tha, bike chori hone ki takleef ka "compensation" tha. Bas ek dildaar chor ka anokha tareeka! Kya aapke landlord bhi aise considerate hain?

 

Police involve hui ya nahi, pata nahi. Shayad unhone bhi socha ki hisaab barabar ho gaya hai, jaane dete hain. Par social media toh chhodega nahi. Jaise hi yeh baat bahar aayi, news fatt se viral ho gayi! Har koi yeh soch raha tha ki aisa chor har gali mohalla deserve karta hai.

 

Socho agar sab chor aise ho jaayein! Bank lootne ke baad wapas cash transfer kar dein. Ghar se chori kiye maal ke saath ek "Sorry for inconvenience" card chhod dein. Aapka phone utha lein, phir ek mahine baad naye cover ke saath return kardein. Duniya kitni achhi jagah ban jaaye!

 

Ek taraf yeh chor hai aur ek taraf woh dost jo bachpan se saath hai par aaj tak maafi nahi maangi. Lo karlo baat! Itni izzat toh chor bhi de raha hai yaar.

 

Kaash aisa chor hum sabko mile!

 

Matlab socho, ek taraf humare friends hain jo paise bhi waapis nahi karte, aur ek taraf yeh chor jo itna door jaane ke liye taiyaar hai chori ka samaan lautane ke liye!

 

Ek dum professional chori, timely return aur compensation bhi!

 

Aaj tak jitne bhi chhot -moti cheezein chori hui hain, kya kabhi kisi ne return kari? Nahi na? Bas isi wajah se yeh chor izzat ke haqdaar hai!



Aise sacche aur pookie chor toh chor community bhi deserve karti hai… unka naam roshan kar diya isne!