Dekho Desi Shaadiyon kaafi dhoom dhaam se manaayi jaati hai, jitna shor sharab hota hai utna hi chaos aur drama bhi. Bas aise hi ek shaadi se jude chhote draame mein phasi humaari Punjabi bride-to-be, apni Haldi ceremony se kuch chand pehle. Jo situation kaafi chinta janak ho sakti thi, badi hi innocent aur cute nikli. Hone waali dulhan sharminda hote hote bachi, aur iss silsile ko internet waalon ne ek certified pookie moment ghosh kiya.
Aanchal Arora ko traffic police ne ek challan ke liye roka. Chalaan ka kaaran? Ye raaz bhi Aanchal did ke saath hi haldi function mein chala gaya. Kaha Haldi mooh peela karne jaa rahi thi, aur yaha kaala hone ko aaya. Par hua kuch aisa ki Aanchal didi ne apni kahaani batayi aur traffic police waalon ne unhe jaane diya, aur kaha ki vaapsi mein humaare liye laddoo zaroor leke aana! “Laddoo ka Dabba Vaapsi Mein, Pakka!” video mein aap ye Aanchal didi ke mooh se sun bhi sakte hai.
Traffic Police waalon ke mun mein laddoo phoota, aur Aanchal didi ka chalaan yoo hi chhoota. Punjabi log hote hi aise, pehle pait pooja fir kaam dooja.
Aur kuch aise hi, Aanchal didi hui laddoo ke chakkar mein faraar. What a sweet escape plan!
Sach bolu toh humaara bhi laddoo khaane ka mun ho raha hai ya sunke, par pehle kahaani khatam kar lete hai fir mithaai ki dekhenge.
Ye video dekh ke mun mein kaafi sawaal jaagte hai. 11 mulkon ki police Don ke peeche hai, aur humaari traffic police laddoo ke!?
Yeh kahaan khoob viral hui aur isey 4 million se bhi zaada views mil chuke hai! Internet waasiyon ne apni iss video par har tarah ki raaye di. Kaafi logon ne traffic police waalon ko saraaha. Aakhir laddoo ko kon mana kar sakta hai?
Lekin kaafi logon ne iss issue ko ek dusre, kaafi hatke nazariye se dekha. Unhone pucha, ki kya agar koi mard gaadi chala raha hota toh traffic police vaalein itni asaani se usey jaane dete? “Reverse the gender and see the results” kaha ek netizen ne.
Sawaal aur criticism dilchasp hai…par ye sab khayali ladoo pakaa ke kya fayda. Jab koi ladka aise situation mein phasey toh tab dekhenge! Agar magar sochke kya hi fayeda.
Ek aur netizen ne bola,”If it was a boy the Haldi ceremony would have happened on the road.”
Arey kya saboot hai iss baat ka? Ladke laddoo khaate khilaate nahi kya?
Lekin har internet waasi ne isey criticize nahi kiya. Kuch logon ke reactions kaafi cute bhi thhey! Ek logon ne inn ko Pookie Cop bol diya! That’s cute, kaash humaara bhi life mein saarey pookie cops se hi encounter ho.
Kaafi log iss baat ka bura maan rahe hai. Unhein hum ye khena chaahengi ki arey bade bade deshon mein aise chhoti chhoti baatein toh hoti rehta hai.
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Chappal Chori Ka Khel Khatam: Jab Padlock Mila Jugaad Se
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Papa Ka WhatsApp Wala Emotional Damage: Jab Dad Ne Feelings Express Kar Diye
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Bachche Ka Back-to-School Drama: Jab Toys Ko Bhi Sasural Bhejana Pada
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Elephant Baby Ka Great Reunion: Jab Forest Officers Bane Real Heroes
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Delhi Floods Mein Boat Ride: Jab Paani Aaya Toh Jugaad Bhi Saath Laya
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
AI Bandar Ka Bollywood Debut: Jab Technology Ne Kiya Kamaal
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Shark Ka Achoo Moment: Jab Samundar Ka Gunda Bhi Sneeze Karta Hai
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Billi Ka Bipedal Moment: Jab Leopard Ne Kiya Human Cosplay