JEHANABAD ke Modan Ganj Block me officials ne jab ek income-certificate application dekha, toh unhone socha system crash ho gaya. Applicant ka naam likha tha Samsong, maa ka Smartphoan, aur pita ka Iphoan.

 

Circle Officer Mohammad Asif Hussain ne file dekhi aur bas ek hi reaction diya — “Yeh prank hai ya new product launch?” Unhone warning di ki aise “tech-savvy applicants” ko lightly nahi liya jaayega. Cyber police bhi tag ho gayi investigation mein.

 

Sequel To Dog Babu

Yeh koi pehli baar nahi hai jab Bihar ki bureaucracy ne Ctrl + LOL moment diya ho. Kuch hafton pehle Patna rural area me ek residence certificate issue hua tha in the name of Dog Babu. Parents? Kutta Babu aur Kutiya Devi. Certificate viral gaya, FIR lodge hui, aur ab ye saga ka second instalment aa gaya — From Dog Babu to Samsong Singh: The Digital Generation.
 

Bureaucracy 2.0: Now With Bug Fixes

Officials keh rahe hain ki fake entries sirf mazaak nahi — extra kaam bhi badha dete hain. Genuine applicants delay ho jaate hain jab system pranksters ke naam verify karte hain. Matlab, real people wait kar rahe hain income proof ke liye, aur kisi ne Smartphoan Devi ka pitra bana diya.

 

Ek insider ne kaha, “Aaj Samsong Singh hai, kal Xayomi Yadav aa jayega. Hum ready hain patch update ke liye.”
 

Moral of the Story

Tech literacy badh rahi hai, par common sense abhi beta version pe hai.


Next time koi form bhare, toh yaad rakhe: department ka server bhi insaan hota hai — itna data drama nahi sambhalta.

 

Aur jahan tak Samsong family ki baat hai — unka certificate cancel ho gaya, par comedy clearance report 100 per cent approved hai.

 

About Author

Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. 

Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.