Chhodni toh smoking thi, par azaadi bhi chhod di! 

Popup Icon

Enjoying exploring?

Sign up for more

Aadat chodna mushkil hota hai. Gym jaana ho toh Monday ka intezaar, diet karna ho toh "kal se pakka," aur smoking chhodni ho toh bas ek "aakhri kash."

 

Par ek banda aaya, aur bola, "Smoking nahi chhod pa raha? Toh sirf haath hi nahi, poora sir lock kar do!"

 

Turkey ke Ibrahim Yucel ne smoking chhodne ke liye apna hi sir pinjre mein daal diya. Haan, bhai ne literal meaning mein apni azaadi kurbaan kar di. Matlab smoking band karni thi, par saans lena bhi challenge bana diya.

 

Bande ka logic bhi suno: Ek toh 130 feet ka copper wire uthaya, helmet se inspiration li, aur poore dimag ka tandoor bana diya. Matlab, ek taraf log quit smoking ke liye nicotine gum kha rahe hain, meditation kar rahe hain, aur yeh bhai ne seedha engineering project bana diya.

 

Aur zyada sochne ka mauka bhi nahi diya. Sir pinjre mein, chaabi biwi ke paas. Matlab bhai ne ek smoking addiction khatam karne ke chakkar mein full-time biwi ke control mein aane ki membership le li. Yeh banda life mein bhi cheating nahi karega, kyuki khudko unlock karne ki chaabi bhi apne paas nahi rakhta.

 

Aur scene suno:

Breakfast khatam? Biwi aayi, taala laga diya.

Lunch khatam? Taala laga diya.

Dinner khatam? Phir taala laga diya.

 

Matlab bhai sirf do time azaadi mein rehta tha—khane ke time aur sapno mein. Baaki poora din full "sir inside, patience outside!"

 

Internet pe log bhi baukhala gaye:

Kisine bola: “The nose itch would get me.”
Bhai, nose itch toh chhodo, soch agar cheenkh aa gayi toh? Full khidki ke andar tsunami!

 

Par chhodna padega, bhai ka dedication solid tha. Ek banda jisme yeh level ka commitment hai, woh ya toh addiction chhod dega ya Nobel Prize le aayega.

 

Aur socho agar ek din biwi mood bana le ki ‘Aaj nahi kholungi,’ toh bhai sidha documentary ka subject bann jayega.

 

Ab sawaal yeh hai, smoking chhodne ka tareeka genius tha ya full pagalpan?