BRIDE CHAHIYE YA BROOM?

 

Bengaluru ka traffic ho ya signboards, yahaan surprises har mod pe milte hain! Kabhi signal pe khade-khade aadmi buddha ho jaata hai, toh kabhi road pe aise gems mil jaate hain jo seedha social media ka treasure ban jaate hain.

 

Is baar shaadi waalon ki kismat badalne ke bajaye, ek matrimonial ad ne hi sabka mood badal diya.

 

Bengaluru ke Nayandahalli area me ek matrimonial service ka ad viral ho gaya, aur wajah thi ek zabardast typo! Zindagi me ladka-ladki milane ka kaam kar rahe the, par yahaan toh ad wale bhai sahab ne kisi aur ka hi milan karwa diya!

 

Ad me likha gaya: "Bride and Broom Information Centre."

Haan, groom ke jagah broom likh diya gaya, aur bas, social media ne is typo ko ek naye meme trend me badal diya obviously. Ab groom ki talaash ho ya ghar ki safai ki tension, yeh ad dono ka ek saath solution lag raha hai!

 

Jis matrimonial service ka maksad logon ki shaadiyon ka bandhan banana tha, unhone anjane me hi sahi logo ko saathme jod toh diya. Jhadu over Jivan ka saathi! Waise bhi, shaadi ke baad ghar ke kaam toh karne hi padte hain, toh shaadi ke saath complementary broom mil jaye toh bura kya hai?

 

Social media pe logo ne iss ad ko jitna troll kiya, utna relate bhi kiya! Kyunki shaadi ke baad ladka apni life me groom se broom ka safar waise bhi tay kar leta hai.

 

Ek user ne likha,

"Shaadi ke baad groom waise bhi ghar ka broom ban jaata hai, toh typo toh sach hi bol raha hai!"

 

Dusre ne kaha,

"Matrimonial ad hai ya cleaning agency ka job offer? Package me pocha bhi milega kya?"

 

Ek aur comment ne toh sabke dil ki baat bol di:

"Shaadi ka asli sach likh diya hai… Pehle pyaar, phir responsibility, aur phir broom!"

 

Bengaluru me pehle bhi aise hilarious typos dekhne ko mile hain. Airport road pe ek signboard pe "Bengalore" aur "Bangaluru" likha mila tha, jise dekh kar log confused ho gaye the ki kya yeh do alag-alag jagah hain ya ek hi sheher do naam se chal raha hai? Aur ab yeh broom wala blunder ban gaya Bengaluru ki typo legacy ka ek aur shining star! Lagta hai yahaan spell-check ka concept abhi tak apply nahi hua hai.

 

Location Pe Toh Koi Dhyan Do Bhai!

Jaise typo kaafi nahi tha, yeh masterpiece ad ek garbage collection point ke paas laga hai! Ek user ne toh point bhi kiya,

"Bride mile na mile, safai ki guarantee toh pakki hai!"

 

Ek aur ne likha,

"Ye log shaadi se pehle hi Jhadu training shuru kar rahe hain, taaki ghar ki safai ka tension na ho!"

Matlab sochiye, agar kisi ne sach me iss ad ko serious le liya, toh kya hoga?

- Rishta final hone ke baad clean-up drives hongi honeymoon destinations.

- Shaadi ke gifts mein silver broom set milega!

- Jadoo ki jagah "Jhadu ki Jhappi" milegi…

 

Shaadi pe kaunsa gaana bajega guess karo?
Broom machale!



Bengaluru ki har typo story ek naye meme trend ko janam deti hai. Aaj "Broom" hai, kal shayad "Bride and Boom" likh diya jaye, jo shaadi ke asli mahol ko perfectly describe kare!

 

Aap batao, agar aapko apni shaadi ke invitation card pe ek zabardast typo add karna ho, toh kya likhoge? Comments mein likho, aur apne woh doston ko tag karo jinki shaadi abhi pending hai