Badle Ki Kahaani, Kauvon Ki Zubaani
“Kaw Kaw Kaw Kaw” - Kauvon Ki Fauj
Sadiyon se bade buzurg kehte aa rahe hai ki badla buri cheez hoti hai. Lekin ye baat kauvon ko kisi ne nahi bataayi.
Scientists ke anusaar, kauvon ko insaanon ki shaklein 17 saal tak yaad rehti hai. Agar aapne kisi kauvey ko kabhi bhi tang kiya hai, toh maafi maangne ka yahi samay theek hai, kyuki vo kabhi bhi badla lene aa sakte hai.
Professor John Marzluff ne science ke liye ek bada kadam uthaaya, lekin unhe ye nahi pata tha ki isske chalte unki life mein aatank mach jaayega.
2006 mein, John Marzluff ne kiya ek bohot hi behtareen experiment.
John ji ne pehena mask aur kiya kauvon ko qaid - for science, of course.
Ek ajeeb-o-gareeb halloween mask apne closet se nikaal ke (Closet mein kyu tha mask? Na tum jaano na hum) aur chal padhe experiment-experiment khelne.
7 kauvon ko qaid kiya, unke pankhon par ek tag lagaya (not a hashtag, Gen Z waalon) aur unhe chhodh diya.
Fir kya? Kauvon ki ego ekdam hurt. Matter toh hona hi tha.
Yeh baat baaki crows mein aisi speed se faili ki inke saamne toh mohalle ki whatsapp waali aunties bhi fail. Kauvon ki poori toli inke mask pehente hi aisa dhaava bol deti thi ki jaise professor ne unse koi udhaar le rakha ho... Aur bas unhi 7 kauvon ne nahi…samaaj ke baaki kauvon ne bhi professor ki baat dil pe le li.
Ek bhai ka panga hota hai toh baaki bhai peeche thodi na rahenge. Vo bolte hai na, bhaichaara on top. Sab kauvon ne milke professor ko bohot koota. Ye silsila chala agle 7 saal aur fir finally jaake professor ne mask pehenna chhodh diya.
Pehle kauvey keedo ko tang karte thhey ab yeh kitaabi keedha mil gaya, toh uski band baja di. School bullies ki yaad dila di inhone professor ko.
Revenge is sweet toh suna tha, par yeh kauve toh salty nikle. Badla lene ki kala toh koi inse seekhe.
A group of crows is called a ‘murder’ of crows. Ab toh aap samajh hi sakte ho unka naam aisa kyu rakha gaya.
John Ji, I am sure aap abhi ye wish karte honge ki aap John Marzluff nahi John Cena hote. Fir shayad iss attack se bach jaate.
Aap log bhi ye soch rahe honge…ye kahaani science ki kam, aur ek film ki horror-comedy script zyaada lag rahi hai. Iske film rights koi jaldi khareedey!
Aur rahi baat John Ji ki, aapko hum karna chaahenge congratulate. Nobel prize ka toh pata nahi par agar apne pair pe kulhadi maarne ka koi award hota toh vo zaroor aap hi ko milta John sahab.
Moral of the story? Kauvon se accha rishta banake rakho. Koi bhi kauva dikhe toh ek smile aur pranaam zaroor kardena jaise society ke uncles ko karte ho. Faaltu pange mat lena.
Kauvon ke badle se bachne ke liye like aur share karo!
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Chappal Chori Ka Khel Khatam: Jab Padlock Mila Jugaad Se
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Papa Ka WhatsApp Wala Emotional Damage: Jab Dad Ne Feelings Express Kar Diye
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Bachche Ka Back-to-School Drama: Jab Toys Ko Bhi Sasural Bhejana Pada
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Elephant Baby Ka Great Reunion: Jab Forest Officers Bane Real Heroes
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Delhi Floods Mein Boat Ride: Jab Paani Aaya Toh Jugaad Bhi Saath Laya
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
AI Bandar Ka Bollywood Debut: Jab Technology Ne Kiya Kamaal
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Shark Ka Achoo Moment: Jab Samundar Ka Gunda Bhi Sneeze Karta Hai
2025-07-29T00:00:00.000+05:30
Billi Ka Bipedal Moment: Jab Leopard Ne Kiya Human Cosplay