DILLI ke ek auto driver ne sabko sikha diya ki asli “meter” insaaniyat ka hota hai, na ki auto fare ka. Ek foreign tourist auto se travel kar rahi thi, par jab unhone realise kiya ki unke paasd chhutte paise nahi the toh auto waale bhaiya ne bas muskuraate huye kaha, *“Koi baat nahi, jaaiye aap.”
Bas phir kya tha, iss chhote se gesture ne social media par sabka dil jeet liya.
Generally Dilli ka naam sunte hi log sochte hain traffic, thodi si teekhi bhaasha, aur extra auto fare. Lekin yeh waali kahaani iss image ke bilkul opposite hai. Yahaan ek auto driver ne na extra cash liya, na attitude dikhaya—balki insaaniyat, aur mehmaan nawaazi ka ek cute sa example ban gaye. Tourist bhi khush, aur duniya ko Dilli ki ek nayi jhalak dekhne ko mili.
Jaise hi yeh video viral hua, comments section mein logon ne likha: “Abhi bhi duniya mein acche log bache hain.” Koi bola, *“Bhaiya ko Bharat Ratna milna chahiye,”* toh koi likh raha tha, “Dilli ka asli dil yehi hai.” Auto driver ki honesty aur dildari ne sabko apni taraf kheench liya.
Auto driver ki imandaari dekh kar foreigner ladki ne unko sirf fare hi nahi diya, balki ek generous bonus gift kiya. Poore 2000 rupees ka. Auto wale uncle pehle toh thoda sharmaaye, par phir tourist madam, ke insist karne par unhone smile ke saath gift accept kar hi liya.
Kabhi kabhi badi kahaaniyan chhoti si insaaniyat se likhi jaati hain. Ek auto fare chhodne se shayad unke pocket mein kuch nahi aata, lekin jo goodwill mili uski keemat hazaaron rupe se bhi zyada thi. Aur tourist ke liye? Ek chhoti si ride ban gayi ek badi yaad.
Aur shayad unn foreigner madam ko yeh “Delhi darshan”: Red Fort aur Qutub Minar se zyada yaad reh jaayega.