ROZ ka travel sirf point A to B ka journey nahi, ek poora mood board hota hai. Auto, cab, metro ya car — har sign ka commute ek alag soundtrack par chalta hai. Kahin bass itna loud hota hai ki seat vibrate kare, toh kahin lo-fi ke saath existential crisis chalu hoti hai. Toh chaliye sunte hain, traffic aur tunes ke beech aapka zodiac kya bajata hai — banger playlist ya heartbreak FM?
Bus stop se nikalte hi earphones mein “Sher Aaya Sher” energy. Auto mein baith ke Seedhe Maut + Divine + thoda sa Travis Scott, kyunki bas chalana hai… aur chalane ke beech mein 4 baar gaali bhi deni hai. Gaana bhi fast, driving bhi fast, patience = 0.
Ekdum shaant banda/bandi. Playlist = “Best of Arijit 2014–2017” + Coke Studio Season 2. Office jaane ke liye best music. Signal pe full AC, ek samosa haath mein, aur “Tum hi hooooo” background mein. Road rage nahi, bas ek Taurus aur uski tanhaai.
Bhai, inka playlist ek khichdi hai. First gaana: Diljit ka “Do You Know.” Second gaana: Playboi Carti. Teesra gaana: “Raatan Lambiyan.” Matlab gaadi mein 3 alag personalities baithi hain aur sabko aux cable chahiye. Office pahunchne se pehle yeh apna private concert karke aa rahe hain.
Playlist ka naam hi: “Rainy Day, Broken Dil.” Even May ke month mein bhi “Tip Tip Barsa Pani” + “Channa Mereya” baj raha hai. Horn bajta hai toh sochte hain, “Waise hi life mein bhi sab mujhe use karte hain…” Pure emotional breakdown traffic mein, it might just be the therapy they need.
Aux cable pakadte hi bolte: “Mere bina car chal hi nahi sak ti.” Playlist = Beyoncé, Badshah, Sidhu Moose Wala. Baddie music back to back: “Main character vibes aa rahi hain kya? Mujhe dekh rahe hain na sab?” Har red light pe sunglasses adjust karna compulsory.
Playlist = Focus instrumentals + 50 TED Talks downloaded. Traffic mein bhi multitasking: ek haath se mail likh rahe hain, dusre se volume adjust, dimaag mein already agle din ka grocery list. Kabhi kabhi gaana sunte hain toh wo bhi Coldplay ka “Fix You.”
Playlist abhi tak decide hi nahi kiya. “Yaar kya sunu… 90s hits ya new Drake?” End result: YouTube pe “Bollywood Mashup 2021 DJ Chetas” chal raha hai aur wo bhi ad ke beech mein ruk gaya. Half commute gaane dhoondhne mein hi gaya.
Full dark villain energy. Bassline aisa ki khidki hil jaaye. Playlist = Techno + Hyperpop + random disstracks. Ek taraf “Bella Ciao” remix, dusri taraf Doja Cat ka “Paint the Town Red,” teesri taraf pura dimaag plotting revenge. Background mein horn baj raha hai, Scorpio sun hi nahi raha.
World tour chalu hai gaadi mein. Ek gaana Afrobeat, doosra reggaeton, teesra Himachali folk. Playlist ka motto: “Naya kuch chalana hai boss, mainstream ka mood nahi.” Kabhi kabhi gaana beech mein skip karke apna hi gaana gaa lete hain.
Playlist = Dad-approved. Kishore Kumar, Rafi, Bryan Adams. Reliable, safe, koi unnecessary experiment nahi. Car mein bethe toh lagta hai shaadi mein DJ chala diya ho — “Summer of ’69.” Gaadi mein ek hi gaana chalega 50 baar, kyunki commitment.
Super niche playlist jo koi aur sun bhi nahi sakta. Ek gaana 12-minute long live performance from Iceland ka koi indie band, jiska naam bhi pronounce nahi hota. Matlab inka vibe hi aisa hai ki tum samjho ya na samjho, gaadi mein alternate universe chal raha hai.
Dream sequence factory. Playlist = Taylor Swift + Bollywood baarish songs + random lo-fi “train se jaa raha hoon” vibe. Auto mein baith ke imagine karenge ki hero-heroine ban gaye. Rain na ho toh bhi headphones mein hi baarish aa jaati hai.