Aries full energy leke aate hain. Interval tak popcorn khatam, aur climax se pehle opinion ready. Aap cheer karte ho, chillate ho, aur screen ke heroes se zyada dramatic lagte ho. Theatre aapka personal stadium ban jaata hai.
Taurus log ke liye movie secondary, aur ambience primary hota hai. Recliner ho, badhiya snacks ho, aur AC perfect temperature pe — tabhi experience poora hota hai. Plot twist chalega, par uncomfortable seat nahi. Aapka review: “Picture thik thi, nachos better the.”
Aap screen se zyada logon ke reaction enjoy karte ho. Constant whispering, popcorn sharing, aur interval mein mini stand-up session. Gemini log theatre ko group chat bana dete hain — funny, chaotic, aur thoda distracting.
Cancerians emotions ko absorb kar lete hain. Movie comedy ho ya tragedy, tears guaranteed. Tissues ready, heart open. Post-movie mood: 3-day recovery and one emotional Instagram story with a sad emoji.
Theatre entry = red carpet moment. Popcorn in one hand, swag in another. Aapko lagta hai spotlight aap par hi hai, chahe screen pe Shah Rukh ho. Laugh loud, clap louder, screen ki film ke saath saath aap audience ko sideshow entertainment bhi de dete ho. Par haan yeh moderation mein ho toh acha hai.
Virgos ke liye movie watching serious business hai. Notebook-level observation, zero tolerance for plot holes. Background mein agar koi khansta bhi hai toh side-eye guaranteed.
Aur agar koi loud group ho, toh Virgo hi woh hero hai jo unhe “please keep it down” bolne ki himmat karta hai. They’re basically the unofficial theatre monitor — order, discipline, aur perfect viewing experience sab maintain karte hue.
Libra log ka theatre vibe pura romantic-aesthetic hota hai. Perfect outfit, balanced snacks, and dim-light selfies before showtime. Movie ka genre kuch bhi ho, aapka goal hota hai: “Main cute lag raha hoon na in the dark?”
Aap theatre mein silent ho, lekin andar full storm chal raha hota hai. Intense concentration, zero distractions. Credits ke baad bhi stare karte ho screen ko — jaise secretly telepathy se sequel demand kar rahe ho.
Aap restless ho. Movie achhi ho toh inspired, boring ho toh bored. Action scene dekho toh “Main bhi jaata hoon Ladakh.” Basically, theatre se nikalte hi naya trip ya conspiracy theory ready hoti hai.
Aap har film ko ek project jaise treat karte ho — structured, serious, aur ROI-driven. Interval tak aapko lagta hai “yeh second half drag karega,” aur end tak aap mentally box office numbers predict kar chuke hote ho. Apna verdict bhi professional critic ke tone mein dete ho — calm, confident, aur brutally honest.
Aap har emotional scene mein bhi thoda detached feel karte ho — jaise brain aur dil dono parallel tabs mein chal rahe ho. Ek moment mein existential crisis, next moment mein cold review mode. “Nice cinematography though.”
Pisces log movie mein dissolve ho jaate hain. Hero cry kare toh aap feel karte ho, villain mare toh guilt hota hai. End credits pe dreamy stare, background mein lo-fi violin bajta hai. Aap theatre se nikalte nahi, float karte ho.
**
BOING Zodiac Quiz
Q1. Jab movie shuru hoti hai, aap kya karte ho?
A. Trailers ke time se hi seeti aur taali shuru.
B. Seat adjust karke comfort check karte ho.
C. Commentary mode on – har scene pe reaction.
D. Silent stare – screen ke andar ghus jaate ho.
A. Popcorn finish, energy full – har scene pe response.
B. Recliner perfect, snacks balance mein.
C. Friends ke saath nonstop whisper aur jokes.
D. Notebook-level observation aur plot hole detection.
A. Ignore karte ho, khud zyada loud reaction de dete ho.
B. Annoyed expression dekar side-eye maarte ho.
C. Uske comment pe joke banate ho.
D. Turn karke politely bolte ho “Please keep it down.”
A. Opinion ready – “Ab climax mein twist aayega.”
B. Snack refill aur selfie.
C. Mini stand-up session with friends.
D. Deep analysis – “First act tight tha, pacing ab slow hai.”
A. Claps, hoots, aur exit pe bhi commentary.
B. “AC sahi tha, nachos aur better ho sakte the.”
C. “Chalo coffee pe discuss karte hain ending.”
D. Screen ko stare karte hue existential silence.
(Count your mostly A’s, B’s, C’s or D’s.)
Mostly A’s – Aries / Leo Energy
Aap theatre ke livewire ho. Cheers, reactions, aur filmy excitement full volume pe. Movie experience ko stadium match bana dete ho.
Mostly B’s – Taurus / Libra Energy
 Comfort aur aesthetics sabse zaroori. Recliner, lighting, aur company perfect ho toh hi film enjoy hoti hai. Aapka review style: calm, curated, classy.
Mostly C’s – Gemini / Sagittarius Energy
Aapko film se zyada audience entertain karti hai. Haste ho, tease karte ho, aur group chat energy theatre mein le aate ho. Fun, free, thoda distracting.
Mostly D’s – Virgo / Capricorn / Scorpio / Pisces Energy
Aap serious movie watcher ho. Emotion, analysis, aur concentration sab on point. Theatre se nikalte hi film ka review ya emotional essay ready hota hai.
Abbas Momin is a stand up comedian, writer, and podcaster. He has written columns for The Indian Express, Rolling Stone India and GQ India. Abbas has also hosted a film podcast called 'Has It Aged Well?' and does regular appearances on Cyrus Broacha's show 'Cyrus Says'. He has acted in the film 'Ghoomer' and the web series 'Very Parivarik'.