DIWALI ka mood ho aur rangoli na ho, aise kaise? Rangoli banana ek art hai — aur har zodiac ka apna unique approach hota hai! Koi geometry nikaal deta hai, koi bas freehand emotions. Iss Diwali, dekho tumhara sign kis type ka rangoli artist hai — perfectionist, abstract ya sirf “mujhe dots hi nahi mil rahe” type.
Aries rangoli ko khatam karne ki race mein rehte hain — “pehle main khatam karunga!” energy ke saath. Petals ud rahe hain, rang bikhar rahe hain, par unka enthusiasm unbeatable hota hai. Pattern chahe abstract ho, par passion 100%. Result: chaos with confidence.
Taurus log apni rangoli symmetry aur soothing colour palette se banate hain. Rose petals, diyas aur ek perfect Instagram shot — sab ready. Inke liye rangoli ek ritual hai: slow, sensory, aur full of cozy vibes. And what really matters for them is if the playlist on the speaker is giving full diwali vibes. If not then don’t blame them for a substandard rangoli.
Gemini ke liye rangoli ek expression hai — half traditional, half meme. Ek side diya, dusri side inside joke. Har 5 minute mein design change kar dete hain. Final result? Fun, unpredictable aur full of their personality. Audience confused bhale ho par saath hi saath, but impress bhi hogi.
Cancerians rangoli banaate hue bhi senti ho jaate hain. Design mein “ghar ki warmth” aur nostalgia feel hoti hai. Maa ke colours, nani ke patterns aur apna touch of love. Floor pe emotion spill ho gaya, but it’s wholesome art.
Leo ki rangoli entry red carpet level hoti hai — bright colours, bold motifs aur spotlight unpe hi. Pattern ka naam bhi rakhenge: “The Royal Bloom.” Inka goal simple hai — sab bolein, “ye kisne banayi?” Inka decoration bhi dramatic hota hai.
Virgos ki rangoli matlab symmetry ka temple. Compass, scale, stencil — sab nikal lete hain. Ek dot bhi idhar-udhar ho gaya toh restart kar denge. Final design dekhke lagta hai Google Maps ne banayi ho. Neat, clean, aur zero margin for error.
Libra rangoli artist nahi, rangoli stylist hote hain. Colour coordination, diya placement, aur overall vibe unka expertise hai. Har cheez picture-perfect lagni chahiye. “Yeh blue thoda zyada blue hai” type perfection. Final result: Pinterest board on the floor.
Scorpio ki rangoli mein depth hoti hai — dark colours, layered meanings aur thodi mystery. Design dekhke lagta hai kuch toh symbolism hai. Ye log poori rangoli bana kar quietly dekhte hain, aur sab confuse ho jaate hain — “Nice... par iska matlab kya hai?”
Sagittarius rangoli ke rules nahi maante. Ek haath se colour daal rahe hain, dusre se gaana change kar rahe hain. Design thoda wild, thoda wanderer — jaise inka mood. “Bro, concept tha freedom!” is their explanation for the final product. Har rangoli ek spontaneous mind trip lagti hai.
Capricorn ka rangoli setup project plan jaisa hota hai — chart paper, colour coding aur fixed deadline. Unke patterns structured, balanced aur dependable hote hain. Ye log rangoli banana bhi KPI se map kar lete hain. Final result corporate-level perfection, festive edition.
Aquarius log rangoli mein bhi experiment karte hain — eco-friendly chalks, UV paint ya 3D rangoli. Traditional design unke dictionary mein nahi. “Bro, ye rangoli nahi, social commentary hai.”. Yeh log festive art ko TED Talk bana dete hain.
Pisces ki rangoli ek fantasy land lagti hai — pastel colours, flowing shapes aur har line mein emotion. Ye log art banaate hue khud lost ho jaate hain. Kabhi-kabhi diya bhi rangoli ke beech rakha reh jaata hai. Imagination overload, but beautiful chaos.