EVERYBODY looks forward to going on vacations but vacation se pehle aata hai woh daunting task: Packing. So let’s find out ki aapki zodiac sign ke hisaab s aap kis tarah ke vacation packer hain.
Suitcase khola, 5 minute mein sab phenk diya. Toothpaste socks ke andar, T-shirt laptop ke neeche, charger shoes ke andar. Packing nahi, live grenade lagta hai. Chahe plan 2 mahine pehle bana ho ya 2 ghante pehle, yeh last minute chaos inka trademark hai.Packing karte waqt inka room ek war zone ki tarah dikhta hai but surprisingly once everything has been stuffed to the brim and packed, the room looks pretty neat.
Fold karne ki aisi technique jo kabhi duniya ne na dekhi ho. Kapdo ko properly inch by inch daba ke rakhenge jaise wardrobe therapy session chal raha ho. “Yeh shirt shayad kaam aa jaaye… aur yeh extra jacket… aur woh fancy mug bhi!” End result: 4 din ki trip ke liye 2 bade suitcases + 1 backup bag. Airport pe unka sabse bada workout hota hai baggage sambhalna.
Three jackets for “night vibes,” do swimwear for “day vibes,” ek ethnic look “just in case koi shaadi aa jaaye.” Half kapde casual, half formal, phir gadgets, snacks, board games, chargers, aur random souvenirs. Matlab suitcase khola toh kapde nahi, pura ka pura mall niklega.
Cancer ke suitcase mein kapdon se zyada “yaadein” hoti hain. Extra sweater jo mom ne bola tha lene, woh purani t-shirt jo comfort blanket jaisi lagti hai, aur ek chhota sa soft toy “travel buddy” ke naam pe. Luggage khol ke lagta hai picnic basket + family album aa gaya hai. Aur haan, snacks ka poora dabbawala department alag se.
Packing = production design. Kapde ironed, accessories coordinated, shoes tissue paper mein wrapped. Suitcase kholte hi lagta hai Vogue photoshoot ke liye nikle hain. This is the kind of packing featured in suitcase ads.
Virgo ka suitcase khol ke lagta hai kisi ne Excel sheet ko zip karke bag mein daal diya ho. Har kapda neatly rolled, alag-alag zip pouches for socks, chargers, toiletries — even underwear pe labels lage hote hain: “Day 1, Day 2.” Packing list itni detailed hoti hai ki immigration officer bhi impress hokar visa extension dede.
Chaar ghanto tak pack karne ke kapde choose karte hain aur phir bhi trip pe bolenge “mere paas pehenne ko kuch nahi hai.” Suitcase heavy, lekin phir bhi last-minute airport pe ek aur shopping bag add karenge.
Ek jeans, ek tee, ek hoodie. Simple. Lekin saath mein woh chhupaya hua pouch jisme cheezein hain jo kisi aur ko dikhani nahi hai. For eg: foot spray, back massager, a black notebook aur ek deck of cards for some reason. For Scorpios, suitcase = mystery box.
Kapde dalne ki bhi zarurat mehsoos nahi hoti. Ek jhola, ek brush, ek book, aur chal diye. Phir destination pe dusre logon ka shampoo chura ke chill karenge, t-shirt aur belts borrow honge. Sunglasses try karke wapas nahi milne wale. Basically if you’re travelling with a Sagittarius, carry two of everything.
“Backup” is their love language. Extra toothbrush, extra battery, extra underwear. First-aid kit, sewing kit, aur shayad chhota tool box bhi nikal aaye. Unki packing philosophy simple hai: agar duniya khatam bhi ho jaaye, toh bhi Capricorn ke bag se sabko survival mil jaayega.
Aquarius ka suitcase ek mini science fair + thrift shop lagta hai. Kapdon se zyada gadgets, random experiments ke props. Flip-flops ke saath space-print socks, sunscreen ke saath telescope bhi milega. Backup outfit? Shiny silver jacket jo lagta hai Mars trip ke liye hai. Baggage kholte hi lagta hai vacation nahi, innovation summit ho rahi hai.
Pisces ki suitcase ek alag hi duniya hoti hai. Kapdon ke saath sketchbook, travel journal, aur woh chhoti si candle bhi daal dete hain jo “hotel room ko vibe de.” Outfits hamesha thoda extra fancy hote hain — jaise koi impromptu beach-side photoshoot ho jaaye.